Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha
Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha,
Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha.
Us ki aadat ka zara ye pehlo toh dekho,
Mujh se kiay vaaday wo kisi aur se nibhata raha.
Kuch khabar nahi wo shaks kya chahta tha,
K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha.
Tootay huay taaluq main bhi kitni mazbooti hai,
Main jitna bhulata raha wo utna hi yaad aata raha.


Write a Comment
Gravatars are small images that can show your personality. You can get your gravatar for free today!